Wednesday, February 02, 2005

Mohabbatoon K Khumar Main


mohabbatoon k khumar main
na mah-o-saal ka shumar tha
na mausam say koi shanasai
na kitaboon say koi ashnai
bus tera hi khayal tha
khayal paikar-e-jamal tha
teri raanai k sadqay main
aftab dast-e-sawal tha
tu chand chehra, tu khoob seerat
yeh qudrat ka ik kamal tha
main qudrat ki is sanaai ko
bhala keeon na sarahoon ga
mohabbatoon k khumar main
is jast-e-khakhi k pyaar main
main khud ko bhula doon
kah khud ko mita doon
tu jo kahay to
main sub ko bhula doon

....@hMeD

0 Comments:

Post a Comment

<< Home