Monday, May 04, 2009

no updates..

Something different is in my mind..
just wish me luck....

@kS

Monday, December 29, 2008

tum aur tumhari baatein

pal pal baatein na karoon tum say
to dam sa nikalta hai
yeh soch k darta hoon
kahin raat ki tareeki main
jeevan na kho baithoon.

@kS
2352 291208

Friday, September 26, 2008

for you...

ankh khuli to dil say nikli dua
teri khusbu ki
teri baatoon ki......
par meri har shab ki har dua ki tarha
shahyad yeh dua bhi poori na hoi...

@kS
1940 260908

Thursday, June 19, 2008

tu kahay to

tu agar kahay to teri shamoon ko apna bana loon,
tu kahay to tujh ko bahoon main apni basa loon..

yeh jo reet hai barsaat ki,
kaali ghataoon ki
tu kahay to teri nam zulfoon ki chaoon main
apna jeevan basa loon

teray qurb ka ehsas ho,
har lamha tere saath ho
tere laboon ki madhoshi main
andheri raat ki khamoshi main
tu kahay to teri band aankhoon main
kai sapnay saja loon

main saaqi tera,
tu jaam thera,
tere hi mah-kaday main
tu kahay to tujhe laboon say laga loon
tu kahay to tujhe apna bana loon

@kS
2220 190608

Sunday, May 18, 2008

muskaan

woh dheemi muskan laboon pay teray
meray har din ko,
janay kaisay ik naya janam day jati hai..!

@kS
0237 180508
ik nanhi si konpal ki khusboo
ik anjany khawab ka saya
woh pyaari pyaari baatein..
main tum say karta raha
khawab huwe hazar sach
risthay juray bandhan main
woh pyaar, woh chahat meri
woh khushboo,
woh mahak teri..
in rishtoon ko joray rakhay gi..
...
mohbaat sach hai tumhari
mohbaat sach hai hamari...

@kS!
0236 180508

Saturday, October 27, 2007

jub main bhi ik bacha tha

yaad karta hoon main woh din,
jub nanha sa main ik bacha tha...
rota tha, hansta tha
bus khailta hi rahta tha
choti choti baatein theen..
kitni pyaari woh raatein thi
jub maan, ki lori sunta tha
jub baap, ki karwat sota tha
kitnay achay din thay
jub behnoon say larta tha
aur phir khaila karta tha
..
apnay nanhay paoo'n main baray hi jootay pahanta tha
char pahioon ki cycle bhi shoq say chalaya karta tha
har toffee shoq say khaya karta tha,
jub jhoota bahana bana k school bhi nahin jata tha
na koi dar, na koi khoff, bus har dam maza main karta tha
yaad karta hoon main woh din,
jub chota sa main ik bacha tha...
..
woh choti choti sharatein,
woh din bhar ki baatein
jub yaad main rakhnay laga,
kai uljhanain barhieen, kai armaa'n jagay
aur main khud main khonay laga

din guzray, maheenay, saal beetay
kuch paas na aye, aur kai rooth k bichar gaye
kuch bandhan banaye, kuch khud hi toot gaye
kuch khwab adhooray jagaye, kuch sapnay dil main sajaye
umr guzri pyaar ki baatein barheen
qasmain, waday, tor-tareeqay badlay
pyaar k mausam main kuch hum bhi khoye rahay
mausam badla, andhi ai, toofan aya..
aur sub kuch hi mujh say rooth gaya...
haan tab dil ka bohat main sacha tha
umr ka tab bhi kacha tha
tub bhi shahyad main ik bacha tha

na baatein raheen, na shahrtain raheen
na woh toti cycle, na hi koi toffee rahi
haan kho gaya mujh say mera apna-pan
na maan ki lori, na hi woh bachpan
jo bacha, woh tootay khawab thay
jo amr huwa woh dhundli yaadein
kuch baatoon ki, kuch sapnoon ki
kuch rishtoon ki, kuch wadoon ki
kuch pyar bhari raatoon ki..

kitnay soonay pal thay woh
jub shahyad main ik bacha tha
phir bhi ab sochta hoon main yeh
kiya main bhi kabhi bacha tha?

@kS
1840 271007

Sunday, August 19, 2007

khawab adhooray hi achay lagtay hain

yaadon k beech aa k
na torna silsila
na khawaboon ka
na khayaloon ka
na karna gila
meri mohabbat k azaboon ka

meri zaat ki baat say
meri baat ki zaat say
na karna phir zikr
mere khawaboon ki uranoon ka

na wajood ka sawal ho
na hijr ka malal ho
na sawal o malal ka khayal ho
par dehan rakhna
apni ankh say bahti aab-sharoon ka

aisay hi koi zindagi ka fasa'na ho
us warq pay naam likh k, mujhe hansana ho
beetay lamhoon ko ik naya janam daina
jub phir say mujhe kabhi tarpana ho

rah jaye jub dil main ik khalish
mit jaye jub dil ki kashish
to yakeen jaan laina,
meri baat ka 'jaan' yakeen maan laina,
k khawab adhooray hi achay lagtay hain

@kS
0059 190807