Saturday, June 04, 2005

shikwah..

shikwah karoon yeah gila karoon tum say
khud hi batao kaisay mila karoon tum say

rah meri kathan hai aur anjan bhi shahyad
duur talak koi paas nahin jo mere
nazrain hai meri giri hoi, thaki hoi..
nazar uthaoon to samnay chehra tera..
nazar jhukaoon to dil main tum
khud hi samjhao kaisay duur raha karoon tum say

waqt nay mujhe muhlat na di, rabtay tor diye
main tamam umr bhatkay huwe rastoon pay bhatakta raha
teri yaad ati rahi, satati rahi aur main rota raha
tum paas nahin ab mere, to kiya huwa...
par yeh to batao kaisay baatein kiya karoon tum say

main zalim nahin, par zulm ki inteha to dekho
main tumhari tarha na mom hoon na hi kaanch
par phir bhi pighalta aur toot'ta to hoon main
mere pighlay dil ki tum rani,
tumharay toot'ay shahar ka main raja
tum batao yeh rishtay natay kaisay juda karoon tum say

main ik @kS hoon yeah roshni yeah shahyad ik andhera hoon
par jo bhi hoon, aisi sha' hoon... jis ka koi wajood nahin
koi naam nahin, koi rabt nahin, koi taluq nahin
duniya k kisi wajood say qurbat ka ehsas bhi nahin
par phir bhi yeh poochta hoon,
duuri ka ehsas khud ko kaisay dilaya karoon tum say

@kS...

1 Comments:

Blogger Unknown said...

duuri ka ehsas khud ko kaisay dilaya karoon tum say

1:18 PM  

Post a Comment

<< Home