Monday, June 13, 2005

main bhi ik diya hoon...

aur main kiya kahoon
ik anjan jalta huwa diya hoon main
jo kabhi bhi taiz andhi anay par
bujh jaye ga...
tum kaisay apnay nanhay hathoon say
us taiz andhi ki raftar say
mujhe bacha pao gi...
tum keeon apnay hathoon ko
meri lo say jalao gi...
main to ik aisa jalta huwa diya hoon
k jis k gird koi parwana bhi nahin bhatakta
haan itna hi anjan hoon shahyad
to bus mujhe mere ander hi jalnay do
mujhe bachanay ki koshish main
apni taqdeer main
ik aur nakami ka chiragh na jalao
main to phir bujh jaoon ga
yeh na ho k woh chiragh
kisi tufan k anay pay bhi
jalta rahay...

@kS

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

ur are diya.....and ur words are light.i am no one...just a fan,thought give u, ur due praise before i go.

1:00 AM  

Post a Comment

<< Home