Sunday, December 04, 2005

jub tum ho yahan...

jub tum ho yahan...
tab bhi keeeon itna akaila hoon main
har taraf tareeki chahi hai
roshni khud say chup rahi hai
kuch nazar ata nahin
koi saya ujar pata nahin
jub tum ho yahan
to koi chiragh jalati keeon nahin
koi diya roshan karti keeon nahin

har taraf khamoshi basi hai
na koi lafz jharta hai lab say
na koi ati jaati saans ka shor hai
na hi kahin pyaar k geet gati
khamosh siskiyan hain
jub tum ho yahan
to is khamoshi ka matlab samjhati keeon nahin
koi naghma dard bhara suna k
aahain bharti keeon nahin
palkain jhapka k
shor machati keeon nahin

jub tum ho yahan
to yeh udasi apnay gu'n keeon gati hai
apna aap keeon manwati hai
har pal keeon mujhe tarpati hai
jub tum ho yahan
to koi dil bahlanay wali baat karti keeon nahin
mere aur udasi k beech ati keeon nahin
mere dil ko bahlati keeon nahin

aao na.. apnay honay ka ehsas dilao
meri tanhai ko tanha kardo
meri ird gird ki khamoshi ko ruswa kardo
aur meri udasioon ko kisi aur k naam kardo
jub tum ho yahan
to qurb ka ehsas dilati keeon nahin
dil ki pyaas bujhathi keeon nahin
jub tum ho yahan
to yeh faslay ab mitati keeon nahin...

@kS

1 Comments:

Blogger Unknown said...

jub tum ho yahan...
tab bhi keeeon itna akaila hoon main
har taraf tareeki chahi hai

------------------

aao na.. apnay honay ka ehsas dilao
meri tanhai ko tanha kardo
meri ird gird ki khamoshi ko ruswa kardo
aur meri udasioon ko kisi aur k naam kardo
jub tum ho yahan
to qurb ka ehsas dilati keeon nahin
dil ki pyaas bujhathi keeon nahin
jub tum ho yahan
to yeh faslay ab mitati keeon nahin...

@kS
---------------------------

Q nahi????

1:07 PM  

Post a Comment

<< Home