Wednesday, December 07, 2005

kiya din thay woh bhi...

kaisay yaad dilaaon tum ko
woh sub pichlay janam ki baatein theen
jub hum tum
pahroon baith k
ik doojay k kandhoon pay sir rakh k
ghantoon roya kartay thay..
apnay tapaktay ansoo'on ko
nam miti main mila k
ansoo'on k mehal banaya kartay thay
us mehal main kai sapnay sajaya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
kagaz ki tooti kashti bana k
nao main bahaya kartay thay
aur ghantoon us k peechay bhaga kartay thay
thak jatay, baith jatay thay...
usi nao say, aik doojay ki pyaas bujhaya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
pat-jhar main
sookhay patoon ko chun'na kartay thay
un patoon pay, ik doojay ka naam likh k
saja k paish kiya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
baarish k mausam main
kisi darakht say taik laga k
kai naghmay gaya kartay thay
kai dhunain banaya kartay thay
girti boondoon ko
hathoon main chupa k
ik doojay pay uchala kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
ik doojay ki rooh main sama jaya kartay thay
khud say khud ko chupa nahin patay thay
par phir bhi keeon,
zamanay say sharma jaya kartay thay

kiya din they woh bhi
jub hum tum ik doojay say
chhup chhup k mila kartay thay
ghantoon kuch na kahtay thay
na hi palkain jhapaktay thay
na koi soch, na koi zikr hota tha
janay keeon itnay armaan sajatay thay

kiya din thay woh bhi
kiya din thay....................
jub hum tum...
ik hi rooh, ik hi naam huwa kartay thay

@kS

0 Comments:

Post a Comment

<< Home