Saturday, January 07, 2006

...woh bhi yehi kahay ga main janta nahin...

mere saye say poocho main kaun hoon
woh bhi yehi kahay ga main janta nahin
main arzoo'on ki umeedoon k rangoon pay jaltay huwe diye ka shahyad ik @kS hoon
jo roshni ko khud apnay ander chupaye phirta hai
jo rangoon ko khud kahin bhulaye phirta hai
jo umeedoon ki duniya pay rakhay gaye qadam'on pay yakeen rakhta nahin
jo arzoo'on ko khud say kahin duur bichaye rakhta hai

main sochoon k safar k azaab'oon pay, gulaboon ki tahni say likha gaya shahyad ik 'fasana hoon
jo har kisi ki zaban pay har dam apna ehsas dilaye rakhta hai
jo usi gulab say qurbat ka deep jalaye rakhta hai
jo phir usi tahni k kantoon say koi zakhm pohanchata nahin
jo un azaboon ko khud apna samajh k, apnay dil say lagaye rakhta hai
jo un sochoon ko mahaz poora karnay k liye, aankhain bachaye rakhta hai

main laboon say jhartay lafzoon k armanoon ka shahyad ik adhoora khawab hoon
jo har ankh main, apni baatoon ki sahmi awaz say nami sajaye rakhta hai
jo apnay armanoon ki khamosh hansi k intezar main, kai rishtay nibhaye rakhta hai
jo jhartay lafzoon ki udas dastaan ko kisi soch ka gahwara bannay daita nahin
jo un laboon ko, in laboon say apnay khawaboon main silaye rakhta hai

haan main shahyad ik @kS hoon, yeah shahyad ik 'fasana yeah shahyad ik adhoora khawab hoon
likin mera saya bhi mujhe janta nahin
us ka koi lab, mujhe ab pehchanta nahin
us ki soch ka main koi kirdar ab banta nahin
meri arzoo'on ki fariyad koi ab sunta nahin...

@kS

4 Comments:

Blogger The Lil fairy & her angel friends said...

wow!!!
u write great1!!!!
amazingly great!!!!!!
kool! keep it up!

5:26 AM  
Blogger AkS said...

thnx bloggin buddy :)

7:29 AM  
Blogger Umema Siddiqi said...

*amazed* This is all YOUR own poetry????

Speelbinding...utterly amazing!

Keep up the good work.

12:35 PM  
Blogger AkS said...

thnx dinky mind (umema):)

2:14 PM  

Post a Comment

<< Home