Thursday, January 12, 2006

ik gumnaam soch...

ik azaab ko khawab bana k
us shahr-e-khamoshan k naam kartay hain
k jis ki taqdeeroon main
roshni k siwa, andheroon ki dastan likhi gai hai
k jis main kabhi insan basa kartay thay
aaj din ki tareeki main
khud ujalay say dartay hain
k jis ki har fikar main
shor abad hota tha
ab khud shor ko chupaye phirtay hain
kuch khauff adhoora zinda lagta hai
un makanoon ki un deewaroon main
jahan har rang ki
roop nikharti tasweer laga karti theen
jahan moti chun chun k sajaye jatay thay
jahan phooloon ki khusboo mahka karti thi
aaj na koi naksh hai, na koi seep baqi hai
bus phooloon ki zard patiaan
maazi k kisi wajood k honay ka ehsas dilati hain
us shahar k makaan k us darwazay pay
jis pay kabhi
komal si woh larki
pa'oon main payal pahnay
kaanoon main baali sajaye
hathoon main kanch ki choori ghumatay huwe
kisi ka intezar karti thi
aaj unhi kaanch ki kahnakti chorrioon k tukray
zameen pay paray huwe
kisi ko zakhm pohchanay ki arzoo rakhtay hain
woh payal ki chan chan
un makanoon main goonjti to hai
par qadamoon ka shor
kuch adhoora lagta hai
par us ki baatein,
us ki muskaan ab bhi
un ujartay makanoon main
us shahr-e-khamoshaan main
kai umeedain jagati hai...

@kS

2 Comments:

Blogger The Lil fairy & her angel friends said...

so whens teh book coming?

10:03 PM  
Blogger Tauqeer said...

lol lol

4:18 AM  

Post a Comment

<< Home