Sunday, August 19, 2007

khawab adhooray hi achay lagtay hain

yaadon k beech aa k
na torna silsila
na khawaboon ka
na khayaloon ka
na karna gila
meri mohabbat k azaboon ka

meri zaat ki baat say
meri baat ki zaat say
na karna phir zikr
mere khawaboon ki uranoon ka

na wajood ka sawal ho
na hijr ka malal ho
na sawal o malal ka khayal ho
par dehan rakhna
apni ankh say bahti aab-sharoon ka

aisay hi koi zindagi ka fasa'na ho
us warq pay naam likh k, mujhe hansana ho
beetay lamhoon ko ik naya janam daina
jub phir say mujhe kabhi tarpana ho

rah jaye jub dil main ik khalish
mit jaye jub dil ki kashish
to yakeen jaan laina,
meri baat ka 'jaan' yakeen maan laina,
k khawab adhooray hi achay lagtay hain

@kS
0059 190807

3 Comments:

Blogger Tauqeer said...

yeh aap hameesha itni ghamgheen shairi hi kion kertay hain mohtaram?

2:49 AM  
Blogger Unknown said...

kya khawab kabhi tabeer nahi hotay??????

rah jaye jub dil main ik khalish
mit jaye jub dil ki kashish
to yakeen jaan laina,
meri baat ka 'jaan' yakeen maan laina,
k khawab adhooray hi achay lagtay hain
........

12:51 PM  
Anonymous Afridi said...

Yar itna dard samet rakha hai apni shairy me.Koi khas wajha .

1:50 AM  

Post a Comment

<< Home