Saturday, April 30, 2005

guzri raat...

guzri raat
mere angan ka ik phool murjha gaya
gahra andhera tha, khamosh tareek raat thi
us pay halki halki barsat thi
nanhi nanhi bondain
mere angan k us phool pay gir k
us ko taazgi day rahi theen
par woh nadan shahyad
us taazgi ka bojh sah na saka...
din nikla, ujala huwa
barsat thami
main bahar nikla
us ko dekha...
hath main liya...
aur woh ro diya...
yeh kahtay huwe mujhe chor gaya
k ahmed main tumharay angan ka
saath na nibha saka
par main bewafa nahin...
meri khusboo, tumharay angan main
tum ko barsoon, meri yaad dilaye gi

@kS

tanhai...

woh pagal larki kahti hai
mujhe dar lagta hai
tanhai say
aur main deewana kahta hoon
jaanan.. tum tanha kahan ho
main nahin to kiya...
meri yaadein
meri baatein to tumharay saath hain.

@kS

udasi...

udasi anmol hoti hai
har ik ki zindagi main ati hai
aur kabhi
kisi ki zindagi say chali jati hai
aur kabhi..
zindagi bhar k liye amr ho jati hai
par udasi ka apna maza hai
udasioon main khushian chupi hoti hain
bus dhoondna parta hai...

@kS

khamoshi

khamoshi jub bolti hai to
kai sapnay toot jatay hain
kai lamhay beet jatay hain
khamoshi ko khamosh hi rahnay do
usay na chairo
gar bol pari to
dil toot jaye ga...

@kS

jahan say wapsi...ik suhana safar tha...

ao,
apnay pyaar k angan main
baith k pyaari pyaari baatein karain,
woh baatein
jo sirf ab ik yaad hain,
..........
yaad karo woh beetay pal,
woh guzri yaadein
jub main aur tum
dhalti dhoop k saye main
kisi bhatki hoi,
urti titli k peechay
kosoon duur nikal jatay thay..
jahan say wapsi...
ik suhana safar hota tha...
jub main aur tum
doobti shaam k samnay say
ik doojay ka hath pakar k
na janay kitnay sahiloon ko
ik pal main peechay chor jatay thay
jahan say wapsi...
ik suhana safar hota tha...
jub main aur tum
asman say girti baraf k golay bana k
ik doosray say khaila kartay thay
baraf ko apni hathailioon main chupa k
paas ja k...
baray pyaar say....
apnay thanday thanday haath
ik doojay k mun pay laga k hanstay thay
jahan say wapsi...
ik suhana safar hota tha...
jub main aur tum
ik doojay say chup chup k miltay thay
ghantoon ik doojay ki ankhoon main ankhain daal k
kuch na kahtay thay
sirf rotay thay
aur yaadon k saharay jeetay thay
jahan say wapsi...
ik anjan safar hota tha...
aur ab...
ab main aur tum
sirf ik doojay ki yaad ban gaye hain
ankh japkay to koi nami nahin
dil tootay to koi awaz nahin
lab khulain to tera naam hi nahin...
jahan say wapsi...
ik azab hota hai
ik karb hota hai..

@kS

-

duuri main jo maza hai
woh qurbat k un ehsasat say behtar hai
jo apnoon k beech main
nafratoon k kai chiragh
roshan kar k
khud kahin kisi doosray chiragh ko
roshan karnay k liye
bhatakta rahta hai...

@kS

Monday, April 25, 2005

tum meri tarha toot jao gi !!!

jab main chalaa jaoon ga
tab tumhari roshan ankhoon ka kajal
kuch is tarha say bahay ga
jaisay khizan main chalti hawa
sookhay bikhray patoon ko
apnay sung lay jati hai
tab tumharay komal hathoon say
kanch ki churiyan
tumharay hathoon ko zakhmi karti hoi
kuch is tarha say girnay lagain gi
jaisay badloon say kai boondain
apnay ander ik larza lay k
zameen pay gir k tootti hain
tab tumharay haseen paoonon ki
chandi ki payal ki chum chum
kuch is tarha say sunai day gi
jaisay raat ki tareeki main
bijli ki awaz dil ko larza daiti hai
tab tumharay nazuk laboon ki dheemi si hansi
kuch is tarha say gum hojaye gi...
jaisay gahray badloon k atay hi
suraj apni roshni bhula daita hai
tab tumharay laraztay haath
tumharay ird gird ki khamoshi
tumharay tootay huwe sapnay
tumharay bikhartay huwe pal
mere chalay janay ka ehsas dilain gay...
aur tum...
meri tarha toot jao gi...

@kS

Saturday, April 16, 2005

apnay pyaar ka ehsas dilana chahta hoon...

tum woh suno
jo main kahta hoon
tum woh dekho
jo nazar nahin ata
tum woh mahsoos karo
jo tum ko
mere kareeb anay ka ehsas dilata hai
tum woh socho
k tum aur main... hum hoon...
tum woh kaho
jo main kah nahin pata
tum bhi kitni nadaa'n ho
itna kuch batadiya..
ab bhi ehsas nahin huwa k
kitna pyaar karta hoon tum say...

@kS..

tum udas hogi ???

yeh pal guzar raha hai
aur phir...
kabhi nahin aye ga
kiya tum bhi
is pal k bichar janay say
itna udas hojao gi
jitna main...

@kS

itna pyaar na karo mujh say...

itna pyaar na karo mujh say
gar kho diya tum nay bhi to
to tum bhi mujh ko bewafa kaho gi
aur main janoon ga bhi na k meri nadani
meri nasamajh, mera bholapan
mujh ko bewafa banadaygi...

@kS

jab main marjaoon ga...

jab gar maut ayegi
kuch istarha say marjaoon ga
gir jaoon ga, bilbilaoon ga
chand lamhoon k liye
poori zindagi ko
ik saans main dekh paoon ga
har baat yaad ayegi
thora sa tarpoon ga
aur phir muskaoon ga
ankhain band kar k phir
kalma dohraoon ga
sub ko rota chor jaoon ga
...
sub mujh ko bhool jayen gay
jab main mar jaoon ga..

@kS

Friday, April 15, 2005

main kahta hoon...

main kahta hoon
k itna kareeb na ao mere
mujhe rishtay nibhanay nahin atay
main kahta hoon
itna na pukaro mujhe
main khud main kho jana chata hoon
main kahta hoon
main aoon ga tumsay milnay
par khud kisi ka intezar karta hi nahin
main kahta hoon
mere dukh na banto mujh say
par apni muskan us ko daita hi nahin
main kahta hoon
meri udasiaan mujh say na cheeno
par main apni khushian us k naam karta hi nahin
main kahta hoon
khamoshi bohat kuch kahti hai
par khud apni khamoshi tor daita hoon
main kahta hoon
mujh main gum na ho
par us ko khud say duur karna chahta hi nahin
main kahta hoon...
apnay aap rah k to dekho
par khud us ko paas bulalaita hoon
main kahta hoon
k ainda koi galti na karna
warna mujhe kho do gi
aur yeh kah k har roz us ko mannana parta hai
main kahta hoon
itna intezar na kiya karo
par khud kitna karta hoon.. us ko batata hi nahin
main kahta hoon..
main kahta hoon...
itna kuch to kahta..
par woh samjhti hi nahin...

@kS

Wednesday, April 13, 2005

sapna...

us nay poocha
tum sapna dekhtay ho
main nay kaha haan..
par jab jab woh sapnoon main ati hai
tab tab dekhta hoon...
keeon k us k bina
mera har sapna adhoora hai...
aur sapnay main
koi apna ho to
har sapna poora lagta hai...

@kS...

woh kahti hai... (ik masoom nazam)

woh kahti hai
k itna kareeb na ao mere
mujhe rishtoon say dar lagta hai
woh kahti hai
itna na pukaro mujhe
mujhe shor acha nahin lagta
woh kahti hai
main aa gai
par mujhe rok daiti hai
woh kahti hai
tum khush raha karo
hanstay muskatay
par woh khud khush rahna nahin chahti
woh kahti hai
apni udaasiaan mere naam kardo
par woh mera naam hi nahin janti
woh kahti hai
aur kuch bolo
par woh kuch sunti hi nahin
woh kahti hai
apni adatain badal lo
par woh khud badalti hi nahin
woh kahti hai
koshish karo...
par woh khud karti hi nahin hai
woh kahti hai
.... sorry.. ik galti hogai choti si
par meri galtioon pay woh mujhe maaf hi nahin karti
woh kahti hai
kahan thay aaj.. aur ab chup keeon ho
par khud kahan gumsum rahti hai
kuch batati hi nahin
woh kahti hai..
woh kahti hai...
woh itna kuch to kahti hai
par na janay yeh sub keeon kahti hai..
jaan'an...
apni ik ghazal ka akhri shair
tumharay hawalay kar raha hoon
is ummed say k
jab kabhi moqa milay to
ahmed k saath...
apna naam kuch is tarha say lagana
k kabhi koi bhoola bhatka insan us ghazal ko parhay to
us ko gumman ho k
is ghazal ka naam sirf tum say jura hai...
mujh say nahin...

ik adhoori nazam...

har koi mujh say
yeh keeon poochta hai
k tumhari udasi ka sabab kiya hai
tumhari khamoshi main itna shor keeon hota hai
tumhari tanhai itni tanha keeon hai
tumhari tasveer main rungg keeon nahin hotay
tum rotay ho to
aansoo keeon nahin bahtay
tum pyaar kartay ho to kahtay keeon nahin
ab kaisay yeh sub ko bataoon main...
k itnay pyaar ka main aadi nahin...
aur yeh sub karna meri adat nahin...

@kS...

pyaar...

jaan'an
itna pyaar karo ik doojay say
k gar bichrain to
tumhari ankh main
mere ansoon hoon
aur tumharay dil ka karb
main sahoon...
..............

@kS
thanday mausam ki
dhoop ki taazgi main,
narm chaoon ki neechay
main deewana
apni kuch beeti yadoon ko pukar raha tha
kabhi num ghaas k kisi masum patay ko torta,
to kabhi us patay ko
poori ghaas pay ghumata...
kabhi hansta, kabhi muskata
kabhi kaash k saharay jee k karwat badal laita
na janay main deewana..apni nadani main
kiya kuch soch raha tha
k kahin say
karb main doobi hoi
ik payal ki awaz nay
mujh ko jaga dala...
main chonk gaya,
dar gaya..
uth k baith gaya...
ajb khayal aye zehan main
par duur tak koi saya nahin tha...
koi awaz, koi roshni, koi rungg bhi nahin
main phir say lait gaya...
apni unhi yaadoon ko pukarnay laga..
aur yadoon k sahra main chaltay chaltay
us piyasay kunwain k paas pohancha...
k jis main
tum ko pahnatay huwe
tumhari tooti payal ka ik moti mujh say gira tha...
...shahyad us moti ko aaj us ki manzil mili hai
shahyad tabhi us nay apna aap manwaya hai...

@kS...

ik din aisa ayega...

jaan'an...
yeh na samjho
k agar is janam main bichar rahay hain to
aglay kisi janam main na mil sakain gay...
pata hai...
aglay kisi ik janam main
ik din aisa ayega...
k tumhara naam
mere naam k saath phir jura hoga...
in ansoono'n ko...
us ik din k liye sambhal k rakho
us din hum mil k
khoob royen gay...

@kS...
meri rooh main samanay walay
aye insan
apna roop, apna chehra to dikhao mujh ko
tumhari jhalak dekh k shahyad
mujhe apna shahyad koi guzra huwa pal yaad ajaye..
aur shahyad main yaad karsakoon k
..... k main kaun tha...

@kS...
dekha ik khawab
k hazaroon chahray
chalti rah pay
kisi gumnaam shay k,
intezar main kuch machal say rahay hain
poocha jo paas ja k nanhay hontoon say
to kahnay laga woh,
yeh saray deewanay hain
har roz yahan apnay andekhay sapnay
pooray karnay ajatay hain..

@kS

Saturday, April 09, 2005

ik larki... meri deewani hai

ik larki... meri deewani hai
bohat chahti hai mujhko
bayhad pyaar karti hai
mere aas paas rahti hai
pahroon baith k mere paas
ghantoon baatein karti hai
aaj chand lamhoon ki duri
likh di hai zindagi nay qismat main
to us khauff say
woh deewani larki ro rahi hai
dar rahi hai..
toot rahi hai...
par mujh ko dikha rahi hai k
aisa kuch nahin..
woh jaag rahi hai...
par mujh ko hai ehsas...
keeon k us k laraztay haath
mere hathoon main bandhay hain...
aur us ko apnay is khuff main kuch ehsas nahin...

kaanch ki guriya...

zameen pay baith k
apnay masoom hathoon say
aur bahtay ashkoon k saath
tumharay tootay dil ki kirchiyan
sambhal kar rakhoon ga
is aass k saath
k shahyad kabhi mera dil tootay
to us dil ki rooh tumharay is dil ko zinda karday...
aur tum kanch ki guriya na raho...
palkain jhuki jhuki theen teri
zaba'n pay thi sadgi
noor tha chahray pay
aur taazgi bhi jhalak rahi thi
laboo'n pay jhooti hansi bhi thi
ankhoon main udasi k diye bhi thay roshan
teri dharakn ki awaz
meray dil tak pohanch rahi thi
kanptay huwe lab tere
aur un pay bikhray huwe lafz
aaj ajab lag rahay thay...
.........................
is sub ka ehsas huwa mujhe tab
jab tere laraztay hathoon nay mujhe alwida kaha

@kS

Friday, April 08, 2005

barish ki ik nanhi si bond nay
badloon say juda ho k...
is zameen ki rafaqat ko apnaya hai...
aur zameen pay girtay hi...
apna ik aks banaya hai...
aur mujhe bataya hai k........
k badal aksar apas main
mere aur tumharay pyaar ki baatein kartay hain..
woh baatein jo hum khulay asman k neechay...
apni apni tanhaioon main,
ik doojay ki bahoon main baith k
lamhoon kartay thay...
....
aao ab ik doojay main chup jatay hain,
kahin badal
hamari anjani rahain dekh k...
hamaray toot tay khawab dekh k...
hamari zindagani k fasanay sun k...
hamaray judai k sahtay gham dekh k...
hamaray bichartay paloon ki awaz sun k...
baras na parain...

@kS
meri zindagi main tum
kuch is tarha say anay lagi ho
k ab har ik guzarta pal
ik anjana sa khwab lagta hai...
woh beeti baatein yaad ati hain..
woh andekhay sapnay ankhon k gird
machalnay lagtay hain...
na janay keeon
main phir ik gahri soch main doob jata hoon
aur lamhay kuch is tarha say thair jatay hain
jaisay hawa ki zid badloon k rukh badal kar
un ko khulay asman main zanjeer karday...
aur jab gahri soch say nikalta hoon
to khud qaid hota hoon main
teri yadoon main
teri baatoon main
teray meethay meethay laboon say
jhartay har lafz main...
main qaid hota hoon...

@kS

Wednesday, April 06, 2005

na chahtay huwe woh kar guzra...
jis ka bohat malal hai ab bhi...
ab bhi dil main ik khalish hai baqi...
par us malal, us khalish nay...
mujhe pahli baar aaj
tumhari ik udas si awaz sunai...
yeh kahtay huwe..k
"mujhe kuch nahin huwa
main theek hoon...
hojata hai kabhi kabhi"
likin... mujh say ziada kaun janta hoga tum ko...
tum udas theen...
tum naraz theen...
pahli baar jo aaj pukara tha...
aur main sun na saka...
....
jaan'an... main janta hoon tum ko
sub kuch janta hoon..
par na janay keoon..
phir bhi anjan bana rahta hoon...

@kS
hmmm...
aaj zindagi nay ik moqa diya
mujh ko...
tumharay paas anay ka...
likin zindagi nay hi...
chand baynaam majboorioon k wajah say
forun hi mujh say woh moqa bhi cheen liya...
tum udas theen... saharah chahiye tha..
kisi aisay ka... jo tumhari udasi ko samajh sakay
tum pareshan keeon ho.. yeh jaan sakay...
tum nay pukara mujh ko... par
meri majboori nay mere aur tumharay beech
kai lamhay qaid kar diye...
main bay bus sa hogaya..
chahta tha.. k tumharay paas aoon...
tumhara sahara banoon,
tumharay saath baith k
tumhara dard sahoon..
tumhara sir apnay kandhay pay rakh k
ghantoon baatain karoon...
par aisa ho na saka..
meri majboori bay naam hi sahi...
par mujh pay sitam kar gai...
ab main udas hoon.. mujhe tumhara sahara chahiye..
par ab to kai aur majboorian kai lamhay qaid kar chuki hain...
main kaisay kahoon.. kaisay pukaroon tum ko..
k bohat jee chah raha hai mera...
tere paas anay ka...
par ho sakta hai.. tum kuch na samjho..
jaisay.... us waqt main na samajh saka...
mujhe maaf karna... main bura hoon... par itna bhi nahin...
bohat yaad aa rahi ho.. bohat sata rahi ho.. par kiya karoon...
meri majboori meri apni banai hoi hai..
ab kuch nahin ho sakta... chand lamhay beetnay ka intezar karo..
shahyad nai subh... raat ki chandni hata k
kuch faslay mita day...
aur main ... paas ajaon phir say..
tumharay paas...