Monday, February 21, 2005

Untitled...

kabhi koi anjan si muskaan dil loot laiti hai...
aur kabhi..
kabhi... chah kar hansnay pay bhi... dil rota rahta hai...

@kS

Snowfall..

just had 2nd snowfall of ma life... just 2 hrs bak nd tht was awsome... i mean i was really enjoyin those moments.. when snow was falling ..nearby me...

...................................

main nikla ik chahoon say bahir...
to asmaan say girti baraf ko dekhnay laga...
apna hath barha k us baraf ko main
mahsoos karnay laga...
aur woh pighal gai...
mere us sapnay ki tarha..
jis ko us raat phir say main nay
apni jagti aankhoon say dekha tha...
................................
ehsas ka koi naam keeon nahin hota !!!
aur agar hota hai.. to mujhe koi batata keeon nahin !!!

Wednesday, February 16, 2005

Re: Shhh...

likin koi kiya samjhay..
k in aankhoon say to
kabhi kabhi... ansoo bahtay hain...
yeh dil to...
aksar hi nam rahta hai...

@kS...

Shhh....

Zindagi ko na chairo...ro day gi...
aur jab roye gi...
to dil ki awaz
kuch aisay sunai day gi...
k ehsas hoga k
har beet-ta pal
apnay hi aap main kho kar
mujh say apnay anjan honay ka
gila kar raha hai..

ehsas hoga...
k ankhoon k yeh ansoo..
bay nam nahin hain,
in main kai beeti baatein chupi hain
guzra huwa kal
kabhi kabhi anjanay sapnoon ki arh say
apni nazrain chupata huwa..
mujh ko anjan nazroon say dekhta hai ..

ehsas hoga...
k ird gird k log...
kuch aisay guzartay hain mere paas say..
k main koi jism nahin hoon...
ik aks hoon...
ik aks.. jis ka koi wajood nahin
koi jism nahin !!!

ik tarap hai...
ankahi si...
ik khalish hai...
jis ka koi ehsas nahin
ik rog hai...
jis ka koi zakhm nahin...
ik ah hai...
jis ki koi baat nahin...
kis say kahoon
kis ko samjhaoon...
k aur ronay ka dil
ab nahin karta...

@kS!!!

Friday, February 04, 2005


Yaadein...

Thursday, February 03, 2005


Deep sight !!!

Clock, inching towards 4.

A bird singing a sweet song.

-- Posted by Hello

Wednesday, February 02, 2005

@kS...


@ guy with impermeable thoughts in his mind
khamoshi is all around in his way...
Sadness is his habit...
Looking here and there,
running in complete darkness,
under the scorching heat of the miserable sun,
and beating every moment of his worthless life,
in search of… his invincible reflection...
Thirsty, crumbling on his way,
losing all sliding tears,
not knowing his future, leaving behind his past, working for his present...
Deep thinking for his loneliness and,
Wants to be isolated in this terrible world...
Broken heart, but strong, full of hidden dreams...
Expressive looks, towards the depth of everyone’s heart...
Still completely unaware of his next moment,
but prepare to face the hardest challenge of life...
Sensitive but ever ready to break your heart into small pieces...
Caring for those to whom he loves but no love in any piece of his heart.

this is... all about..@kS

Mohabbatoon K Khumar Main


mohabbatoon k khumar main
na mah-o-saal ka shumar tha
na mausam say koi shanasai
na kitaboon say koi ashnai
bus tera hi khayal tha
khayal paikar-e-jamal tha
teri raanai k sadqay main
aftab dast-e-sawal tha
tu chand chehra, tu khoob seerat
yeh qudrat ka ik kamal tha
main qudrat ki is sanaai ko
bhala keeon na sarahoon ga
mohabbatoon k khumar main
is jast-e-khakhi k pyaar main
main khud ko bhula doon
kah khud ko mita doon
tu jo kahay to
main sub ko bhula doon

....@hMeD

Zindagi Meri...


ik pal
zindagi ka
aisa aya
zindagi main...
k har khushi
zindagi ki
cheen li mujh say
zindagi nay
aur...
aur woh mujh say.. rooth gai !!!
..........................zindagi meri !!!

@kS