Sunday, April 02, 2006

zindagi ki gharioon main...

zindagi ki gharioon main
chand saansein rok kar
aao kuch pal aaj qaid kartay hain
k jin lamhoon main koi udasi ka shor na ho
khamoshi ka koi rabt na ho
k jin main koi tanhai ki baybasi chupi na ho
aao kuch pal saath beeta k
khud say sawal kartay hain
k aglay kis janam main
hum muskana seekhain gay?
khud ko khud main kho k
kab gungunana seekhain gay?

@kS
0024 030406