Monday, March 28, 2005

dee...
ik rung, ik khusboo, ik awaz...
rung aisa jo zindagi k har pal ko
apnay ander saman k,
zindagi ka maqsad hi badal day...
khusboo aisi jo
zindagi k har mor pay apni muskaan say
zindagi ko taazgi baksh day...
aur...
aur awaz aisi
jis ko sun k yeoon lagay...
k woh yahin hai kahin...
mere aas paas...

@kS........

Saturday, March 19, 2005

deewanapan... yeah pyaar.. kuch maloom nahin..

itnay intezar ka...
main aadi to na tha..
likin jaana'n...
jab say mila hoon tum say...
kuch adatain meri...
badal si gai hain...

log kahtay hain yeh pyaar hai...
aur main...
main kahta hoon k yeh deewana pan hai
mere pyaar ka...

@kS

mujhe hai ehsas...

haan mujhe hai ehsas
k tum ko ... pahli baar...
har us cheez nay rulaya
jo sirf ik khayal tha..
ik soch thi...
likin mujhe yeh bhi ehsas hai
k tum woh ... woh pahli theen...
jo har us khayal pay,
us soch pay roi theen...
baqi sub to deewanay thay...

@kS

main aa gai...

kaisay pukaroon tum ko..
kaisay awaz doon...
k main to ab..
ik weeranay main baitha
apni anjan nazroon say
har anay wali rah ko takta hoon...
is ehsas say k shahyad kabhi...
kabhi kahin say koi paas aa k mere
ik deeye ko jala k
mujhse yeh kahay...
main aa gai...

@kS

Wednesday, March 16, 2005

Aaj...

main na janta tha tum ko
aaj say pahlay,
likin aaj tumko dekha hai to,
yeh ehsas huwa hai k
goya aaj ka poora din
meri tamam guzri umer k barabar hai,
jo na mil saka tha is say pahlay
shahyad aaj mil gaya hai
shahyad isiliye tum say takra gaya main
yeeonhi anajanay main...

@kS

Tuesday, March 15, 2005

ab kuch badal sa gaya hoon

ab kuch badal sa gaya hoon,
pahlay hansta bhi tha.. aur hansata bhi tha..
dekhta bhi tha.. aur muskarata bhi tha..
paas ja k ankhon main anakhain daal k cherta bhi tha..
gahantoon ik hi karwat, kai baatein karta bhi tha..
par ab aisa kuch nahin,
ab rota hoon aur rulata bhi hoon,
khamosh nazroon ko chupa k, aahain bharta bhi hoon
duur talak koi paas nahi mere,
isliye ab kuch chup chup sa rahta bhi hoon...
keeon k
ab kuch badal sa gaya hoon...

@kS

Aansoo baywafai kartay hain...

main rona chahta hoon..
to ab ansoo bhi...
baywafai kartay hain...

main tanhai main
khud say larna chahta hoon...
par lar nahin pata hoon...
kuch baybasi ka ehsas janam laita hai..
aur ruswai aksar, dar khatkhatati hai...
apni anhoni ka woh bhi ehsas dilati hai...
main apna aap bacha k,
apnay dil ko sambhal k,
apni khamoshi ko chor kar,
apni aankhein band kar laita hoon...
aur anjaan galioon main,
ik deewana ban k...
dornay lagta hoon...
har cheez say duur bhagnay lagta hoon...
woh dar aur kareeb ajata hai...
phir ruk kar, mur kar dekhta hoon...
to kiya bataoon.. maazi yaad ajata hai..
aur main phir say rona chahta hoon..
par ansoo phir baywafai kartay hain...

@kS

tum ko mera intezar hi nahin...

tumhain to ehsas hi nahin
mere guzartay lamhoon ka...
main kis say gila karoon..
kis say shikwa karoon...
kis say kahoon k...
mujhe har garhi,
har pal,
har lamha,
bus tumhari yaad stati hai...
main apni is baybasi main...
apni is nadani main..
apni dukhoon ki tah main..
kis say faryad karoon..
kis ko ro k, chila k ehsas dilaoon..
akhir kis ko bataoon...
k ab tum ko...
mera intezar hi nahin...

@kS...

na bhoolna kabhi...

jatay jatay...
yeh na bhoolna k tumharay laboon say
har jhartay hurf ka mujh ko intezar rahay ga...
yeh na bhoolna k main tum ko bhool sakoon ga...
keeon k tumharay kahay huwe har jumlay k har lafz ka har hurf
aaj bhi mere aankhoon k samnay ata hai...
mujhe deewana kar jata hai...
main rota hoon apni tanhai main, apni baybasi k saath...
main hansta hoon to log mujhe deewana kahtay hain...

yeh na bhoolna k meri jaan tumharay in ansoonun main huwa karti thi...
aur ab bhi hai..
k tumhari ankh say har girta aanso...
meri beetti zindagi ka ik anmol pal, mita daiti hai...

yeh na bhoolna k tumhari khamoshi...
meri zindagi k liye qahar thi...
k jis khamoshi ko tornay k liye main...
puri duniya ko veeran kar daita tha...
tumhari ankhoon main aankhain daal k...
duniya say anjan ho k... apni rooh ki awaz say...
tumhari rooh tak pohanch jaya karta tha...

na bhoolna kabhi... aur kuch na bhoolna..
k kahin mera bhatakta huwa @kS... gar mil gaya tum ko...
to har baat yaad dilaye ga..
har pal yaad dilaye ga...
yakeen jano...
bohat tarpaye ga...
aur tum roti rah jaogi...
kuch sah na paogi...
meri tarha..
apna hi aks ban jaogi...

najanay keeon !!!

aankhein dekhti hain har guzarnay walay ko
kuch is tarha k goya..
us ki ankhoon main us k ansoo...
aur us k bikhray dil main ... main...
likin yeh such hai k uskay tootay dil ki har kirchi main...
mera ik aks chupa hai...
k jis ka koi wajood nahin..
likin phir bhi main
apnay anajanay pan main..
har guzartay insan ko.. us ki aankhoon main..
ankhain bhar k dekhta hoon !!!
najanay keeon !!!

@kS
yeh sub to zindagi k sitam hain..
rah main jitna takrao gay..
utna tarpo gay...
k har milnay wala...
ik anmol dil ka malik hota hai...
aur jo milta hai...woh bicharta bhi hai...
par dil say dil milta bhi haii...
aur phir.. dil tootta bhi hai..
likin koi kiya samjhay..
k main kitna nadan hoon !!!
har kaam anjanay main kar guzarta hoon...

@kS

Saturday, March 12, 2005

Kash...

kash...
ik lafz hai aisa...
jo har jaani, anjani khwahish ko
baray qareeb say choo k guzar jata hai...

@kS...