Sunday, November 27, 2005

ho sakay to...

tu paas nahin to kiya
teri yaadain, teri baatein to hain
aaj ji ko bahlanay k liye
aaj dil ko jalanay k liye
woh kal ki khamoshi teri
aaj meri rusawai ka
sabab pooch rahi hai
woh teri bayjaan muskaan
meri aankhoon say
girtay ansoon'on k wajood ki
haqeeqat pooch rahi hai
woh ghari ghari ka rokna
woh tokna tera
aaj meri zindagi k liye mujhe keeon
pinjray main band
ik zakhmi parinday ki manind lag raha hai
main kab tak sapnoon ko sach samajh k jeeta rahoon
kab tak har sach ko sachai say chupata rahoon
aur kab tak bayjaan rangoon k peechay bhagta rahoon
ho sakay to
mujhe meri zindagi ki haqeeqat bata jana
yeh na ho k main haqeeqat ko dhoondtay dhoondtay
khud kahin kho jaoon !!!

@kS

Saturday, November 26, 2005

~~~ Al-wida...

marnay say pahlay
ankhoon k samnay
andhera chah jata hai
na koi saya hota hai
na koi @kS rahta hai
anjanay khauf say
dil larazta hai
anhoni ka dar,
bohat satata hai
karb main bheegi aankhain
ansoo rok sakteen nahin
ukharti saans
bus main rah sakti nahin
laraztay lab
kuch kah saktay nahin
toota dil jur sakta nahin
koi rootha huwa dil ab
mujh say man sakta nahin
martay huwe bhi
shikwa karoon to kis say ?
gila karoon to kis say ?
kasoor to mera hi thara
bay los mohabbat ko
chahat ko
koi naam na day saka :)
ab ho sakay to
ik phool apni chahat ka
kabhi guzartay huwe
meri qabar pay gira jana
shahyad kabhi ehsas hojaye
k woh bay los mohabbat
woh chahat
sirf meri na thi...

@kS

toota huwa dil

toota huwa dil
kaisa lagta hai
aaj jana main nay
jub khud mera
dil toot k
bikhar gaya...

@kS

Friday, November 25, 2005

dekho zindagi ko aaj

dekho zindagi ko aaj
itna kareeb say
k har beet'a pal
yeh samjhay k
tumhari chahat is zindagi k darmiyan kho rahi ha
likin is galat fehmi ka zikr
un lamhoon say na karna
na ehsas dilana un ko
apnay is khayal ka
warna saray sapnay toot jayengay
aur hum phir say khud main kho jayengay

@kS

untitled!!

dekho zindagi ko aaj
itna kareeb say
k har beet'a pal
yeh samjhay k
tumhari chahat is zindagi k darmiyan kho rahi ha
likin is galat fehmi ka zikr
un lamhoon say na karna
na ehsas dilana un ko
apnay is khayal ka
warna saray sapnay toot jayengay
aur hum phir say khud main kho jayengay

@kS

Wednesday, November 02, 2005

ik soch...

aisay din k intezar say to behtar tha
k main khud ko
khud main kho daita
dil main yeh khalish to na rahti
na hi koi arman
jazbat ki andhioon say
madham par k
apna aap manwanay ki umeed main dam torta
k tu ZINDAGI meri
kisi aur k naam likhi ja chuki hai..
yeh to shab-o-roz k sapnay thay
jo dil k bayabad qasboon main
har atay jatay shaksh ko
sarab dikhtay thay
ik ummed jagatay thay
likin zindagi sirf
sansoon aur dharkanoon ka naam nahin hai
pyaar, mohabbat, chahat say bhi zindagi janam laiti hai...
aay!! kash....
kash tum yeh samajh patay...

@kS

Tuesday, November 01, 2005

pyaar ka jaadoo....

main bhi yehi samajhta tha
k kho doon ga to panay ka ehsas janam lay ga
likin nahin woh mahaz meri soch ka ik band rasta tha
jis k agay na koi MAIN tha na hi koi mera DOOJA...
woh ehsas nahin hota
khauff hota hai, dar hota hai
apnay say bichar janay ka
duuri main sirf woh maza hai
jo yaad ki tarap say ata hai
aur ansoon'on ki nami say bheeg jata hai
main nay kaha tha na
ehsas ka koi naam nahin hota
sirf roop hota hai...
to dekho aaj woh ehsas
ashk k roop main
meri ana tor gaya...
pyaar ka jadoo
phir say jeet gaya!!!

@kS