Tuesday, May 31, 2005

khamoshi phir say toot jati hai

waqt ki kiya khabar mujhe
na janoon, na sochoon
waqt guzarta hai
lamha badalta hai
soch janam laiti hai
roshni doobti hai
ghata chahti hai
tareeki ati hai
aur raat andheri hojati hai
sub sotay hain
aur main
ik safar pay nikalta hoon
main ik deewana hoon
sirf khawab hi dekhta rahta hoon
waqt guzarta hai
lamha badalta hai
khawab saray toot'tay hain
tareeki jati hai
nai subh ati hai
aur...
aur khamoshi phir say toot jati hai...:(

@kS

Tuesday, May 17, 2005

ik yaad...

woh ai hai bahar girti boondon say mil k
ik haath say
apnay baloon ko suljhati hoi...
aur dosray main kuch kitbain pakri hoi
is haal say baykhabar
k kai nazrain us pay hain jami hoi
woh kitabain
kuch machleen
aur gir gaeen...
kai haath barhay
us ki kitabain uthanay k liye
aur mera haath barha
us giri kitab say
niklay, sookhay gulab ki taraf
jo barsoon pahlay
girti bondoon say miltay huwe
us ko main nay diya tha

@kS

Thursday, May 12, 2005

tum ho mere paas...

ik aass hoti dil main mere
k tum ho mere paas
zindagi ki har mushkil duur rahti
yeh soch kar
k tum ho mere paas
waqt kuch aisay beet'ta
lamhay, pal bhar ko thair jatay
judai k gham koi na sahta
yeh jaan kar
k tum ho mere paas
par jaan'an yeh khawab adhooray hain
aur yeh khawab adhoory hi achay lagtay hain
na main hoon wahan
na tum ho yahan
kuch baatein hain
kuch yaadain hain
ab tak in hi ki aass pay jeeta aya hoon
yeh soch k ...
k tum ho mere paas
aao apni baqi zindagi bhi
isi soch k naam kardain
shahyad baqi ki zindagi bhi
hanstay hanstay beet jaye...

@kS...

Monday, May 09, 2005

-

zindagi nay kuch aisay tora mujhe...
k main toot'ta hi gaya...
ab itni bhi sakat nahi hai k
tumhara haath tham sakoon main
itni himat nahin k
tum say galay lag sakoon main
haan toota zaroor hoon main
par abhi bikhra nahin
abhi yaadein bikhri hain meri...
un k gum hotay hi
main bikhar jaoon ga...

@kS

Thursday, May 05, 2005

ik soch...

jahan tum jaogi
main wahan wahan
tumharay saath chalta rahoon ga
tumharay apnay saye ki tarha
na yeh janoon ga
k tumhari simt kis janib hai
na yeh sochoon ga
tumhari manzil kaun hai
aur jub tum ko tumhari manzil mil jaye gi
to wapis laut aoon ga
mur k tum ko na dekhoon ga main
bus is baat ka ehsas dil main hoga...
k kuch lamhay saath guzray thay
kuch qadam hum nay saath uthaye thay
aur sari umer yeh soch k guzar doon ga
k chand lamhoon ka saath to
nibhaya tha hum nay...

@kS

Monday, May 02, 2005

tum kaho to...

tum kaho to
main apni batoon say
udas kardoon tum ko
par kisi aur ki baaton pay
tum udas na hona
keeon k tum pay udasi
kuch jajti nahin...

@kS

Sunday, May 01, 2005

-

tum ko us bheegay sawan ki kasam...
mujhe chor k na jao
main gir gaya to...
kaun sahara day ga
main toot gaya to
meri kirchion ko
kaun sambhalay ga
main mar gaya to
kaun mujhe
apni duaoon main yaad rakhay ga
na jao...
mujhe apni rooh say juda na karo
gar bichar gaya to...
mere bahtay ashk kaun ponchay ga..

@kS

barish ka mausam

jub barish ki nanhi nanhi boondain
mujh par girti hain
to kitna acha lagta hai
yeh to tum samajh bhi nahin sakteen..
is main mausam ki koi khoobsurti nahin
baat to sirf itni hai k
jab badloon say
woh nanhi nanhi boondain griti hain to
tum mere aur kareeb ajati ho...

@kS

-

ankhain gar nam hoon to
dil parhna parta hai
aur dil gar chupa ho to
lafzoon say poochna parta hai...
aur is aass pay agar baithay tum
k woh tumhari aankhain parh k
tum say yeh poochay ga...
k kiya huwa hai..
to yakeen jano
yeh bhool hai tumhari...

@kS