Monday, December 12, 2005

tumhain kis nay kaha ? (2)

tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

bus raat k har pahar main
mere ujartay khawaboon k darmiyan
apnay honay ka ik ehsas dilati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

shahyeri to main bhool gaya
par phir bhi na janay kaisay tum
meri ghazal k har shair main samati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

par palkain jhapkaoon to tera tasavur
palkain uthaoon to teri tasveer
keeon itna mujh ko tum stati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

nazarain takrana, do alag janam ki baatein theen
aur har pal saath phirna!
keeon mujhe tum khawab dikhlati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

main to musafir hoon udas rastoon ka
karb ki chadarh orhay chal to diya hoon
tum keeon peechay aa k saath nibhati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

saaqi main to nahi, na hi sagar meri pehchan
to keeon mah-kadday main aa k
mujhe tum jaam pilati ho!
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

@kS ka rishta, diye ki jalti lo say hota hai
aandhi guzray to keeon tum
baar baar diye jalati ho?
tumhain kis nay kaha pagli
mujhe tum yaad aati ho?

@kS

tumhain kis nay kaha ?

tumhain kis nay kaha
tumhain main yaad karta hoon?

mohabbat zindagi ka maqsad to nahin thara
na hi zindagi kuch adhori hai tum bin
to phir zindagi bhala keeon tumhari main
barbaad karta hoon
tumhain kis nay kaha
tumhain main yaad karta hoon?

qasbay gar veeran hoon,
pyaar say bas to saktay hain
par jub pyaar karta nahin
to keeon bhala un abad qasboon ko
main bay abad karta hoon
tumhain kis nay kaha
tumhain main yaad karta hoon?

dekho! do din ki zindagi hai
yaadoon k saharay jeevan beet to sakta hai
meri yaadoon ko yaad rakho
mujhe bhool jao
bus yehi ik fariyad karta hoon
...tumhain kis nay kaha
tumhain main yaad karta hoon?

@kS

Wednesday, December 07, 2005

kiya din thay woh bhi...

kaisay yaad dilaaon tum ko
woh sub pichlay janam ki baatein theen
jub hum tum
pahroon baith k
ik doojay k kandhoon pay sir rakh k
ghantoon roya kartay thay..
apnay tapaktay ansoo'on ko
nam miti main mila k
ansoo'on k mehal banaya kartay thay
us mehal main kai sapnay sajaya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
kagaz ki tooti kashti bana k
nao main bahaya kartay thay
aur ghantoon us k peechay bhaga kartay thay
thak jatay, baith jatay thay...
usi nao say, aik doojay ki pyaas bujhaya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
pat-jhar main
sookhay patoon ko chun'na kartay thay
un patoon pay, ik doojay ka naam likh k
saja k paish kiya kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
baarish k mausam main
kisi darakht say taik laga k
kai naghmay gaya kartay thay
kai dhunain banaya kartay thay
girti boondoon ko
hathoon main chupa k
ik doojay pay uchala kartay thay

kiya din thay woh bhi
jub hum tum
ik doojay ki rooh main sama jaya kartay thay
khud say khud ko chupa nahin patay thay
par phir bhi keeon,
zamanay say sharma jaya kartay thay

kiya din they woh bhi
jub hum tum ik doojay say
chhup chhup k mila kartay thay
ghantoon kuch na kahtay thay
na hi palkain jhapaktay thay
na koi soch, na koi zikr hota tha
janay keeon itnay armaan sajatay thay

kiya din thay woh bhi
kiya din thay....................
jub hum tum...
ik hi rooh, ik hi naam huwa kartay thay

@kS

ik adhoori soch...

sirf main aur tum
tum aur main
aur baqi...............

baqi poora jahan....

@kS

Sunday, December 04, 2005

jub tum ho yahan...

jub tum ho yahan...
tab bhi keeeon itna akaila hoon main
har taraf tareeki chahi hai
roshni khud say chup rahi hai
kuch nazar ata nahin
koi saya ujar pata nahin
jub tum ho yahan
to koi chiragh jalati keeon nahin
koi diya roshan karti keeon nahin

har taraf khamoshi basi hai
na koi lafz jharta hai lab say
na koi ati jaati saans ka shor hai
na hi kahin pyaar k geet gati
khamosh siskiyan hain
jub tum ho yahan
to is khamoshi ka matlab samjhati keeon nahin
koi naghma dard bhara suna k
aahain bharti keeon nahin
palkain jhapka k
shor machati keeon nahin

jub tum ho yahan
to yeh udasi apnay gu'n keeon gati hai
apna aap keeon manwati hai
har pal keeon mujhe tarpati hai
jub tum ho yahan
to koi dil bahlanay wali baat karti keeon nahin
mere aur udasi k beech ati keeon nahin
mere dil ko bahlati keeon nahin

aao na.. apnay honay ka ehsas dilao
meri tanhai ko tanha kardo
meri ird gird ki khamoshi ko ruswa kardo
aur meri udasioon ko kisi aur k naam kardo
jub tum ho yahan
to qurb ka ehsas dilati keeon nahin
dil ki pyaas bujhathi keeon nahin
jub tum ho yahan
to yeh faslay ab mitati keeon nahin...

@kS

Saturday, December 03, 2005

socho kab ???

socho akhri baar
tum meri kaunsi baat yaad kar k
dheemay say muskuraieen theen
aur phir apnay bholay pan main
khud ko deewani kah k
sharmai theen
socho akhri baar
kab mujh ko pagal kah k
tum meri yaadoon main
meri baaton main samaieen theen
socho aakhri baar
kab tum ko
meri yaad nay sataya tha
meri baat nay rulaya tha
mere ghussay nay tarpaya tha
... maloom hai mujhe...
ziada lamhay abhi beetay nahin
ehsas hai mujhe
tumhara akhri ashk
abhi chand lamhay pahlay
zameen pay gir k bikhra hoga....

@kS

Thursday, December 01, 2005

mera pyaar..

mera pyaar aisa hai..
jo tum ko bhi bohat tarpata hai..
kabhi hansa k
aur kabhi rula k

@kS