Sunday, October 30, 2005

main to khonay laga tha ~~~

main to khonay laga tha
woh sub kuch,
jo yahan paya tha
aur bhula daita
woh sub kuch,
jis ka ehsas dilaya tha
likin is baar
ana meri haar gai...

@kS

Friday, October 28, 2005

ho sakay to...

ho sakay to
mujhe sirf mera kasoor batajana
warna main apni umer-e-tamam ko
is soch k naam kardoon ga
k bhool hoi mujh say to kahan
hijr ka karb sahna
ab itna asan bhi nahin
k palak jhapaknay pay,
yeh ehsas janam lay
k guzra lamha to bus koi khawab tha
likin,
tum kiya jano, tum kiya samjho
pyaar to main nay kiya...
dard bhi main hi sahoon ga...
tum nay to bus
chahnay ki ik anjan koshish ki
ho sakay to us koshish ko bhi
apni zindagi ki likhi hoi kitab k
beetay pal say nikal daina
yeh na ho
woh koshish amr hojaye...

@kS

Wednesday, October 26, 2005

najanay keeon aankhon k paar...

ajab dhund si lagti hai
najanay keeon aankhoon k paar

woh mujh say gila karta hai
k main nazrain us say milata nahin,
woh apna chehra chupaye rakhta hai
najanay keeon aankhoon k paar

wafa ka main qail to na tha
na hi wafa meri shanakht hai
par phir bhi main waday nibhata raha
najanay keeon aankhoon k paar

zindagi roothi aur phir choot gai
rishtay naatay, tor tareeqay sub toot gaye,
main jagti aankhoon say sapnay dekhta raha
najanay keeon aankhoon k paar

mohabbat kiya ki, uljhanain barh gaeen kuch
arzooain, hasratain to hooen tamam par
woh phir bhi mujh say rooth gai
najanay keeon aankhoon k paar

gila na karo mujh say, meri koi khata na thi
waqt nay dilaya ehsas k woh meri na thi
toota dil thama, larazta haath thamaya
najanay keeon aankhoon k paar

@kS badalta hai, jub insan badalta hai
noor aankhoon say jaye to kiya parwa
roop badalta hai, to dil pay bharosa rahta nahin
najanay keeon aankhon k paar

@kS

Saturday, October 22, 2005

i dint help u !!!

woh ik larazta haath jo kahin daba huwa tha
hawa main utha
aur us jism k kanptay lab
madad ko pukar rahay thay
main khud hosh main to na tha
par phir bhi us awaz ki taraf barha
us haath ko thama, ik aass dilai
upper dekha
khuda say poocha
yeh imtihan hai kaisa?
zameen nam honay lagi
main khud ko chup kar na saka..
woh hath mere hath main dam tor gaya
woh us zuban say kanptay, bikhray lafz
phir say khamosh hogaye
...tareeki zindagi ki phir say jeet gai.

@kS