Monday, August 29, 2005

sapnay sachay hotay nahin

agar tum ko yeeon lagta hai
k sapnay zindagi ko dhoka daitay hain
to tumhari soch shahyad kuch galat ho
sapnay to sirf zindagi ko
ik umeed dikhatay hain
ik aass jagatay hain
sapnay sachay hotay nahin
sapnon main wafa k rishtay
saath nibhaye ja saktay nahin
sapnay dushwaar rastoon ki musaftain hain
jahan har qadam pay saraab dikhai daita hai
par sapnay adhooray hi achay lagtay hain
is faraibi zindagi main
band ankhoon ki soch ka
ik suhana safar to hota hai

@kS

Sunday, August 28, 2005

sapnay kabhi kabhi sachay bhi hotay hain...

sapnoon k peechay
najanay kab say main dor raha hoon
har subh ankh khulti to hai
har nazara madham hota hai
par wohi chehra
samnay pahroon bhatakta rahta hai
main karwatain badal badal k
soch ko bhula daini ki koshish karoon
likin bhala aisa mumkin hi kahan
meri har aisi koshish
jis main tum ko bhulanay ki
ik anjani koshish ho
hamesha nakaam hi keeon hoti hai
yeh sapnay akhir sapnay keeon hain
in sapnoon k peechay
najanay kab say main dor raha hoon
tum ko dhoond raha hoon
tum ko pukar raha hoon
ho sakay to
meri jagti ankhoon k samnay
sirf ik baar aa kar
yeh ehsas dila do
k sapnay kabhi kabhi
sachy bhi hotay hain
anjanay kabhi kabhi
apnay bhi hotay hain

@kS

apni musaftoon pay...

woh rishtay natay,
taur tareeqay tor k
hum chal to diye
apni musaftoon pay
na basti, na koocha,
na koi gali ka kona
hum nay chuwa, dekha na parkha
apni musaftoon pay
rah kahtan thi, anjan,
aur tareek bhi shahyad
hum to nishan chortay rahay
apni musaftoon pay
na palat k dekhnay pay koi saraab,
na agay koi gulab ki khusboo
hum to baybus lamhay guzartay rahay
apni musaftoon pay
woh ik din laut k ayegi
yeh gum'aan rakha ta umr
hum bhataktay rahay, aur woh chalti rahi
apni musaftoon pay.

@kS

Tuesday, August 23, 2005

Untitled...

mujhe dhoondnay main
kuch meri madad karo
main kho sa gaya hoon
kuch rabt banta nahin
ab kisi natay main
koi baat tikti nahin ab
dil k baysabar khanoon main
main ik awaz ki taraf chalta hoon
us aawaz main khushi dhoondta hoon
aur har baar nakaam hi laut'ta hoon
mere wajood ko sahara do
ashnai k bandhan ko tor kar
meri shanasaioon ko ruswa to na karo
meray sabar ka imtehan to na lo
main shahyad ik bhola bhatka musafir hoon
yeah shahyad kisi ki ik gumnam manzil
kuch samajh ata nahin
kuch yaad ab karna chahta nahin
bus main kho sa gaya hoon
main ruk sa gaya hoon
tanhioon k safar pay chaltay chaltay
shahyad thak sa gaya hoon.

@kS

Friday, August 19, 2005

keeon mujhe itna tum stati ho

main janta hoon
tum deewani ho
mere pyaar main
kuch uljhi uljhi rahti ho
har beet'tay pal ko
tum ginti ho
ghari ghari khirki say jhank k
meri rah ko tum takti ho
gar ajaoon nazar to sharmati ho
muskati ho
parday ki aarh main chup jati ho
nazrain ghuma k, muskatay huwe
khud say najanay kiya kuch kah jati ho
har adhooray sapnay main
mujhe keeon itna sajati ho
aray pagli
keeon mujhe itna tum stati ho.

@kS

Friday, August 12, 2005

dekho... khamoshi nay kuch kaha hai

dekho... khamoshi nay kuch kaha hai
guma'an hota hai
meray armaanoon ki roh bhatak rahi hai
machaltay shor k saye talay
mere jism ki kapkapahat k saath sisak rahi hai
main khuli ankhoon say dekhta hoon
khamoshi k lab hilay hain
kuch lafz jharay hain
par samajh nahin aya
k woh kiya boli
main sun nahin paya
k woh kiya boli
...
dekho woh muskai hai
sharmai hai
apnay bholaypan main
sir hila k mujh ko
nazarandaz kiya hai
woh nazrain jhukaye kuch soch rahi hai
kuch bol rahi hai
...ghor karo...kuch kah rahi hai

@kS
[may b it z not complete.. i dunno...]

Wednesday, August 03, 2005

zindagi...do pal aur ruk jao

zindagi...do pal aur ruk jao
yeh samajh k...
k barsoon pahlay ka
koi ahsan chukana ho tum nay
main janta hoon
yeh mahaz mera bhola pan hai
par kiya karoon
janta nahin k kaisay rokoon
do pal aur ruk jao
apni adhoori chahat ko poora karlainay do
koi khalish dil main na baqi bachay gi
koi arma'an, koi khawahish ab janam na lay gi
ho sakay to meri adhoori chahat ko amr kar laina
main janta hoon aisa mumkin nahin
likin phir bhi
na janay keeon, tum say bicharna chahta nahin
ho sakay to mujhe mere hisay kiya pyaar baksh jana
saray lamhay usi chahat k saath guzaroon ga
yeh samajh k tum ho jaisay mere paas....
zindagi meri...
ho sakay to....
do pal aur ruk jao...
@kS

main ansoo hoon...muhje na roko

main ansoo hoon
mujhe na roko
bah janay do
gir janay do
gar roka to
tumharay hi jism main
tumharay hi liye
khamosh karb bana rahoon ga
aur meri khamoshi main
ik toofan hoga...
mujhe na chairo
tham janay do
gar baras para to
tumharay hi khawab
tumhari ankhoon k samnay
aazab ban k jhalkain gay
aur tum samjho gi
k tumhari har dua poori ho rahi hai
likin tumharay laraztay haath
jo mang rahay hain
ik bar phir soch lo
har dua is jahan main poori hoti nahin
ab bhi kahta hoon
na dua karo....mujhe na roko
bah janay do
gir janay do...

@kS

Monday, August 01, 2005

ik shaam sohani

ik shaam sohani
laut k phir wapis ai hai...
andekhay sapnay ab shahyad
pooray hongay
woh raatein, woh baatein
woh pal pal ki yaadein
ab aur jee na tarpayain gi
tum kaho to
is shaam ko
tumharay naam kardoon
likin darta hoon...
najanay kitni subho'on ki kirnain...
mahaz tumharay laut anay ki muntazir hain...

@kS