Thursday, January 26, 2006

and the day begins ...

and the day begins with your memory in my mind...
i keep looking at the book of my life
i pretend as i am reading a part of it
but my eyes remain still
they don’t hover over the page
but yes, sometimes, I feel a sparkling rotation with in my eyes
i recall and I smile at that little crazy memory…
a memory that reaches into my mind and lets me relive a touchy part of my life…
and believe me, my day ends here as well, without turning a single page…
look…every chapter, every episode of my life is drifting away from me for I am alone here…
and you aren’t a part of my life.

@kS

Thursday, January 12, 2006

ik gumnaam soch...

ik azaab ko khawab bana k
us shahr-e-khamoshan k naam kartay hain
k jis ki taqdeeroon main
roshni k siwa, andheroon ki dastan likhi gai hai
k jis main kabhi insan basa kartay thay
aaj din ki tareeki main
khud ujalay say dartay hain
k jis ki har fikar main
shor abad hota tha
ab khud shor ko chupaye phirtay hain
kuch khauff adhoora zinda lagta hai
un makanoon ki un deewaroon main
jahan har rang ki
roop nikharti tasweer laga karti theen
jahan moti chun chun k sajaye jatay thay
jahan phooloon ki khusboo mahka karti thi
aaj na koi naksh hai, na koi seep baqi hai
bus phooloon ki zard patiaan
maazi k kisi wajood k honay ka ehsas dilati hain
us shahar k makaan k us darwazay pay
jis pay kabhi
komal si woh larki
pa'oon main payal pahnay
kaanoon main baali sajaye
hathoon main kanch ki choori ghumatay huwe
kisi ka intezar karti thi
aaj unhi kaanch ki kahnakti chorrioon k tukray
zameen pay paray huwe
kisi ko zakhm pohchanay ki arzoo rakhtay hain
woh payal ki chan chan
un makanoon main goonjti to hai
par qadamoon ka shor
kuch adhoora lagta hai
par us ki baatein,
us ki muskaan ab bhi
un ujartay makanoon main
us shahr-e-khamoshaan main
kai umeedain jagati hai...

@kS

Saturday, January 07, 2006

...woh bhi yehi kahay ga main janta nahin...

mere saye say poocho main kaun hoon
woh bhi yehi kahay ga main janta nahin
main arzoo'on ki umeedoon k rangoon pay jaltay huwe diye ka shahyad ik @kS hoon
jo roshni ko khud apnay ander chupaye phirta hai
jo rangoon ko khud kahin bhulaye phirta hai
jo umeedoon ki duniya pay rakhay gaye qadam'on pay yakeen rakhta nahin
jo arzoo'on ko khud say kahin duur bichaye rakhta hai

main sochoon k safar k azaab'oon pay, gulaboon ki tahni say likha gaya shahyad ik 'fasana hoon
jo har kisi ki zaban pay har dam apna ehsas dilaye rakhta hai
jo usi gulab say qurbat ka deep jalaye rakhta hai
jo phir usi tahni k kantoon say koi zakhm pohanchata nahin
jo un azaboon ko khud apna samajh k, apnay dil say lagaye rakhta hai
jo un sochoon ko mahaz poora karnay k liye, aankhain bachaye rakhta hai

main laboon say jhartay lafzoon k armanoon ka shahyad ik adhoora khawab hoon
jo har ankh main, apni baatoon ki sahmi awaz say nami sajaye rakhta hai
jo apnay armanoon ki khamosh hansi k intezar main, kai rishtay nibhaye rakhta hai
jo jhartay lafzoon ki udas dastaan ko kisi soch ka gahwara bannay daita nahin
jo un laboon ko, in laboon say apnay khawaboon main silaye rakhta hai

haan main shahyad ik @kS hoon, yeah shahyad ik 'fasana yeah shahyad ik adhoora khawab hoon
likin mera saya bhi mujhe janta nahin
us ka koi lab, mujhe ab pehchanta nahin
us ki soch ka main koi kirdar ab banta nahin
meri arzoo'on ki fariyad koi ab sunta nahin...

@kS

abhi to shaam baqi hai...

abhi to suraj dhala nahin
abhi to lamhay zinda hain
zindagi ki aanch pay
duniya k har roop ko bhula k
aao waqt kuch aur beeta'ain saath main
k us waqt main
koi arzoo baqi na bachay
koi khalish janam na lay
koi hasrat meri adhoori na rahay
koi mausam beet na jaye
koi saans rooth na jaye
koi karb saha na jaye
koi baat adhoori rah na jaye
koi sapna kahin toot na jaye
koi chahat dil k arman tor na jaye
koi khawab din k ujaloon ko soch na paye
koi soch bhulai na jaye
koi dard saath chor na paye
koi ansoo sookh na paye
ankh meri khushk ho na paye
dharkan meri dharak na paye
yaad meri kuch bhula na paye
pyaar mera kahin kho na jaye
aao in lamhoon ko amr banain saath main...
aao waqt kuch aur beeta'ain saath main
abhi to suraj dhala nahin
abhi to shaam baqi hai..

@kS

Wednesday, January 04, 2006

unKnowN

meri khamosh zindagi ki dastan
na janay kab likhi jaye gi
likin meri soch is agahi ka ehsas dilati hai
k jab lafz andhioon k safar pay
zard rang ki chadarh orhay
khud ko hawaoon say bachatay huwe
mujh tak pohanchay gay
to shahyad
meri ankhain nam par jayein
doobtay huwe ansoo meri ankhon main tairnay lag jayein
likin main janta hoon
yeh ansoo mahaz mujh say khailtay hain
mera mazak uratay hain...
yeh ansoo gir saktay nahin
apni haqeeqat chupatay hain
aur apna chehra dikhanay say dartay hain....
aur jantay hain k
gar main ro para to
mera munjamid wajood
toot k pighal jaye ga
aur shahyad main muskana seekh jaoon ga...
hansna bolna gana...seekh jaoon ga...
...
par main bawafa na sahi...
baywafa bhi nahin...
main to khamosh hansi say bhi ab darta hoon...

@kS

Monday, January 02, 2006

aaj ka din (3rd Jan)

shahyad koi sapna adhoora nahin bacha..
tum ko chaha, tum ko paya
ik anjani soch ko lay k tum ko apnaya
woh pichlay saal ki ajnabi baatein theen
ajnabi gharian, ajnabi rastay, ajnabi nigahain theen
waqt ki majboorian saath nibha na sakeen
aur ajnabi cheezain, ajnabi rah na sakeen
main tum main kho gaya…
tum meri hogaeen…
likin is saal ki amad pay
yeh khayal keeon ata hai
k jaisay
yeh @jnabi mohabbat meri
yeh khamosh wafa meri
yeh Soch aur yeh zindagi meri
tere naam ho nahin sakteen…
tum to soch k samander ki
ik nadan si khuda ki naimat ho
us k liye, mere liye aur sub k liye
………………
..aao aaj k din ik wada karain
har saal
is din
main aur tum
khush rahain gay
apni apni beeti yaadoon k saath
jo k amr hongi…


@kS