Monday, July 25, 2005

tum lautay ho aaj

tum lautay ho aaj
to kai baynaam ansoo
apni shanakht bhool gaye hain
mujh say bichar rahay hain
k mujh main koi sakat nahin
ab roknay ki unko
pooray jism ka shor
kuch tham sa gaya hai
karb main mubtala
meri har saans
kuch sakoon ki ahain bhar rahi hain
jaan'an... tum lautay ho aaj
to pal main kitna kuch badal gaya hai
ab rooth k phir na jana
k ab to ansoon'on ko bhi manana parta hai

@kS

bheegi si shaam hai yeh aaj

bheegi si shaam hai yeh aaj,
aur din dhalta nahin
pahroon baith k main
teri yaad main
kai anjan chehray banata hoon
aur har chehray ko
mahaz dil ko khush karnay k liye
tere roop say milata hoon
karwatain badal badal k
tere roop say baatein karta hoon
koi nanhi boond asmaan say gir k
tere wajood ko mita daiti hai
aur main phir say tujh ko
kho dainay k dar say
ronay lag jata hoon

@kS

Saturday, July 16, 2005

ho sakay to laut aao...

aaj uljha hoon teri yaad main
to kai bay naam yaadein
zahan k har goshay main aa k
apnay honay ka ehsas dilati hain
main kis kis yaad ko yaad kar k
aur tarpoon...
k ab aur sakat nahin mujh main
k teri bhooli bhatki yadoon ko
apni tamam tar zindagi ka sahara bana k
chand bay naam khawahishoon k naam
faqat teri chahtat aur baylos mohabbat k liye
bhula doon...
likin ho sakay to
meri ik baat yaad rakhna
itni mohabbat, itni chahat
har zindagi main,
har kisi say milti nahin
main ab bhi tere intezar main hoon...
ho sakay to
mere ehsas'sat aur jazbaat ko koi naam day do
ho sakay to
laut aao...

jo ehsas thay woh likh diye

jo ehsas thay woh likh diye
kis say kiya chupata
tere naam sub kuch kar chala
aur bhatakta raha anjan rastoon pay
woh soi hoi yaad
phir say jagnay lagi
karb ki chadhar orhay
mujhe satanay lagi
daranay lagi...
aur main darta raha
teri yaad ko apnay zahan main chupa k
khud say chupta raha...
kuch na bacha baqi
na sochnay ko
na likhnay ko
keeon k
jo ehsas thay woh likh diye

@kS

yeh shor kaisa shor hai

dar lagta in baatoon say
dar lagta hai in ahatoon say
har ati jati saans say darta hoon
qadam uthoon to bhi saham jata hoon
yeh shor kaisa shor hai
pal pal mujhe darayeapnay anhonay pan ka ehsas dilaye
main kab tak in baatoon ko na sunoon
in ahatoon pay na chonkoon
kab tak apni saans ko juda rakhoon
kab tak yeoon sakit baitha rahoon
yeh shor kaisa shor hai
yeh shor toot'ta keeon nahin
koi rabt milta keeon nahin
main kab tak chupta phiroon
apni akhri saans say
k jis k baad meri koi subh, meri na hogi
meri koi saans, juda na hogi
meri koi baat, kisi nay sun'ni na hogi
yeh shor acha shor hai
pal pal dil dharkata to hai...

@kS

Friday, July 15, 2005

aisi baat kiya hai...

aisi baat kiya hai
jo darti ho lab pay lanay say
jo dil k zara sa kareeb hai
jo tumharay dil ki sada sunta hai
jo rutho tum to manata hai
jo ro tum to tumharay ansoo'on pay
apna naam likh jata hai
us ki judai k gham say darti keeon ho
us ko dil ki baat kah k
kuch aur paas bula lo
shahyad tumhari isi baat ka muntazir ho woh...

@kS

Thursday, July 14, 2005

tujhe bhulaoon to kaisay ??

mere khayaloon main jo bus gai ho
woh huur, woh pari ho tum
woh lahrata anchal
woh bhatakti zulfain
aur woh khanakti kanch ki churian
har pal
mere dil k armaanoon ko
pighla daiti hain
ab har anay walay pal say
dar lagta hai
k kahin meri anay wali har subh
teri yaadoon k sabab
mujhe kahin aur
ruswa na kardain
---
woh khawab tha yeah koi haqeeqat
jo pal pal ankhoon main panah lay k
ankhain nam kar daita hai
tujhe bhulaoon to kaisay
darta hoon
k kahin tumhain bhulanay ki koshish main
apna aap na bhula baithoon

@kS

10/07/05

Wednesday, July 06, 2005

andhera hai mujhe ehsas dilata

andhera hai mujhe ehsas dilata
koi to hai kahin aass paas chupa huwa
yeh tareeki kuch bay sabab nahin hai
kuch to hai jo in ankhon say
har ik ko nazar nahin ata
dil ka diya jalao to
ehsas shahyad shiddat k gahwaray main doob jaye
aur meri har baat tum ko
sirf ik mazak lagay
mera pyaar
meri chahat
sirf ik mazak
yakeen jano
is doobtay andheray ki kasam
ehsas ka koi naam nahin hota
sirf roop hota hai....

@kS....

meri manzil...

hum anjani rahoon k musafir hi sahi thay
ik doojay ki manzil say na ashna
ik doojay ki simt say bay khabar
ik doojay ki qurbat say kosoon duur
par na janay keeon
zindagi k us ik mor nay
hum ko chand lamhoon ki ashnai baksh di
na janay keeon
hamari rahain hum say bichar gaeen
na janay keeon manzail hamari kho gai
aur hum yeeon hi hawa ki zad pay
bhatkay badloon ki tarha
apni manzil ki khoj main
ik doojay ki nigahoon main nigahain daltay huwe
hath thamay huwe
na janay kab tak chaltay rahay
lamhay beet'tay, din guzray, mah-o-saal kho gaye
manzil ka koi naam nahin
hum bay bus o bay aasra
yeeonhi chaltay rahay....
shaam dhali....
karb ka ik ansoo nikla
aur tum rooth gaeen
simt badal gai
meri anjan rahain mujh say mil gaeen...
par manzil meri....
mil k kho gai....

@kS

Tuesday, July 05, 2005

main ik aks hoon...

main ik aks hoon
udasi ka
khamoshi ka
aur tanhai ka....

udasi aisi
k dil ruk jaye
har us jism ka
jis nay mujhe
apni sochoon main socha ho

khamoshi aisi
k dil ki dharkan
kuch is tarha say sunai day
k koi jalpari
pani k shor say apna aap kho day

aur tanhai aisi
k dil saham jaye
aur phir toot jaye
aur toot k jub bikhray to
ander say khali...
koi wajood, koi naam na ho

main ik aks hoon
aisa hi, gumnaam sa
jis ka koi wajood nahin...
bikhar raha hoon
koi sambhalnay wala nahin
mit raha hoon
koi roshni ka suragh nahin
kho raha hoon
andhera chah raha hai...

mujhe bachao, mujhe bachao...
main nahin kahoon ga
main to ik aks hoon
roshni madham hoi to kiya
tumharay saath to phir bhi hoon main
yakeen na aye to
koi kanpta diya jala k dekh lo
tumharay hi roop main kahin na kahin
jhalak raha honga....

@kS

Monday, July 04, 2005

---

aaj baitha tanha...
to bohat roya..
aur khoob dil say roya...
k ab muskanay ka dil karta hai
likin darta hoon
k kahin meri muskaan dekh k log
mujhe deewana na kah dain...

@kS