Tuesday, April 10, 2007

ik kash ~

maana yeh haqeeqat hai
k ik kaash!
khawab hazar dikhata hai
pal k liye hansata hai
aankhon main chamak
aur dil ki dharkan barhata hai
par jub yeh kaash kho jata hai
to hum
anchahi haqeeqatoon k beech
khali haath muskatay rah jatay hain ~

@kS
2000 100407

zindagi ka maqsad

zindagi ka maqsad,
mahaz zindagi guzarna nahin..
do shabd pyaar k
do pal pyaar k
aoo maqsad bana lain
k baad main
yeh do lamhay beet janay ka
koi afsos na ho ~

@kS
2020 100407