Friday, June 24, 2005

tum kaun theen...

tum kaun theen...
main janta na tha...
aur ab
ab alam yeh hai k
koi aur tum ko janay...
yeh main chahta nahin.

@kS

Saturday, June 18, 2005

kaisay tum jeevan beeta pao gi..

kaisay tumharay anchal ko
apnay ghamgeen da'man say bandh k
tumhain ruswai k bandhan ki
zard salakhoon main dhakail doon
k jahan tum apnay saaye say daro gi
apni saans k shor say sahm jao gi
us chaar dewari ki hud main qaid
aakhir kab tak apna aap azmao gi
koi jo kabhi bhooli bhatki yaad
tumharay laboon pay muskaan laye gi
us ko kaisay tum jhutla pao gi
apnay anchal ko bachao
mere ghamgeen da'man say na bandho
gar bandh gaya to..
kaisay tum jeevan beeta pao gi....

@kS

kahin pyaar hojaye...

aanchal hatao
nazar milao..
aur phir pal main
nazar girao
yeh na ho k
kahin pyaar hojaye...

@kS

chand lamhay...

wohi awaz...
bholi si...
wohi nigahain... shararat bhari
awaz main kuch khushi,
kuch hairangi
aur chand lamhoon ki khamoshi
aur kuch bayrabt baatein...
aaj hum nay ji bhar k keen.. .

@kS

Friday, June 17, 2005

tu hi bata...

tu hi bata...
kaisay is dil ko tujh say karoon juda..
kaisay yeh sochoon k
tera aur mera rasta ik hai
par hum humsafar nahin...
tamam rastay thama rahoon haath tera
sirf ik ajnabi sahara ban k
k is gumnam dasht main
aaj bhi tum akaili ho
aur aaj bhi main sahara ban raha hoon
kaisay bhulaoon woh yaadein
k jo aaj meri jaagti ankhon main
anjanay khawab k roop main
karb ban k dikhai daiti hain...
tu hi bata...ay zindagi meri
tu hi bata...
kab tak yeeon anja'n nazroon say dekhti rahogi
kitnay aur lamhoon k guzarnay k intezar karoon main
sirf us ik pal k liye
k jub tu.. meri bahoon main hogi...
tu hi bata... ay zindagi meri...

@kS...

Monday, June 13, 2005

main bhi ik diya hoon...

aur main kiya kahoon
ik anjan jalta huwa diya hoon main
jo kabhi bhi taiz andhi anay par
bujh jaye ga...
tum kaisay apnay nanhay hathoon say
us taiz andhi ki raftar say
mujhe bacha pao gi...
tum keeon apnay hathoon ko
meri lo say jalao gi...
main to ik aisa jalta huwa diya hoon
k jis k gird koi parwana bhi nahin bhatakta
haan itna hi anjan hoon shahyad
to bus mujhe mere ander hi jalnay do
mujhe bachanay ki koshish main
apni taqdeer main
ik aur nakami ka chiragh na jalao
main to phir bujh jaoon ga
yeh na ho k woh chiragh
kisi tufan k anay pay bhi
jalta rahay...

@kS

Wednesday, June 08, 2005

:)

jaanan.. zara idhar dekho..
aur halki si muskaan..
mere liye
apnay masoom say chahray pay
kuch is tarha say saja do k
tumhari jheel si ankhon main
main kho jaoon
tumharay komal hath
meraa chehra chupa rahay hoon
aur tumharay lab...
mere laboon say silay hoon
haan jana..
koi aisa roop dilkhlao..
likin dheemi si muskaan k saath

@kS

Monday, June 06, 2005

yakeen..

khamoshi toot'ti hai to tootnay do
raabtay ab jur saktay nahin
dil bahlaoon to kaisay
meri khushisaan mujh say rooth chuki hain
main hansna bhool chuka hoon
par phir bhi khud pay hansta rahta hoon
deep jalay to roshni ka koi suragh nahin
charoon taraf hai mere andhera phaila huwa
tanhai basi hoi
khamoshi chahi hoi...
main boloon to kis say
main apna gham sunaoon to kis ko
haan...
yaad ati to hai
par na janay keeon
woh bhi ik bhatki hoi yaad ki tarha dhundli si hai
kuch ehsas nahin hota k us dhundhli yaad main
kis k bay panah ansoo chupay huwe hain
kis k andaikhay sapnay sajay huwe hain
...
main kaisay yakeen karoon k koi aaj bhi
meray sapnay dekhta hoga...
meri yaad main rota hoga...

@kS...

---

dil dukhay to kis ki yaad aye...
ankh main koi ansoo ab jajta nahin
dil mera ab hansta nahin

lab bhi ab sahtay hain judai k gham
sham kiya bolay gi,
din mera ab sanwarta nahin

duur woh diya jo jal k bujh jaye ga..
main hoon parwana,
woh mujh pay waar ab karta nahin

zindagi kitni haqeeqatoon ka naam hai
haqeeqat kiya hai,
keeon hai, yeh main ab sochta nahin

nazrain hazar hain paas mere,
aur ahmed ki aankh main ansoo
najanay keeon woh apni palkain
ab jhapakta nahin


@kS

Saturday, June 04, 2005

shikwah..

shikwah karoon yeah gila karoon tum say
khud hi batao kaisay mila karoon tum say

rah meri kathan hai aur anjan bhi shahyad
duur talak koi paas nahin jo mere
nazrain hai meri giri hoi, thaki hoi..
nazar uthaoon to samnay chehra tera..
nazar jhukaoon to dil main tum
khud hi samjhao kaisay duur raha karoon tum say

waqt nay mujhe muhlat na di, rabtay tor diye
main tamam umr bhatkay huwe rastoon pay bhatakta raha
teri yaad ati rahi, satati rahi aur main rota raha
tum paas nahin ab mere, to kiya huwa...
par yeh to batao kaisay baatein kiya karoon tum say

main zalim nahin, par zulm ki inteha to dekho
main tumhari tarha na mom hoon na hi kaanch
par phir bhi pighalta aur toot'ta to hoon main
mere pighlay dil ki tum rani,
tumharay toot'ay shahar ka main raja
tum batao yeh rishtay natay kaisay juda karoon tum say

main ik @kS hoon yeah roshni yeah shahyad ik andhera hoon
par jo bhi hoon, aisi sha' hoon... jis ka koi wajood nahin
koi naam nahin, koi rabt nahin, koi taluq nahin
duniya k kisi wajood say qurbat ka ehsas bhi nahin
par phir bhi yeh poochta hoon,
duuri ka ehsas khud ko kaisay dilaya karoon tum say

@kS...

Friday, June 03, 2005

chahat...

khamoshi chaai hoi hai
aur duur talak koi paas nahin mere
main tanha hoon
aur rasta itna asan nahin
hath hota tera to shahyad
thamay rakhta us ko
par..udasi ki bijli girti hai ghari ghari
yeh yaad dilati hai k main tanha hoon
aur aisay sapnay din k ujalay main
kuch achay lagtay nahin...
main kaisay kahoon yeh chahat hai meri..
koi sapna nahin..
keeon k jagti ankhoon say sapnay main dekha karta nahin...

@kS

mera bholapan...

mur k na dekhna...
ay mere hamsafar...
mere paas koi saya nahin
tum say chupnay ka...
main chahta nahin k tum mujhe dekho
aur socho k....
k main tumhara peecha kar raha hoon...
nahin...
aisi baat nahin...
main to bus..
tumhari manzil ko
apni manzil samajh k chal raha hoon...

@kS...

Thursday, June 02, 2005

bus ab thak gaya hoon

yeh us waqt ki baat hai
jub hum
khud apnay hi dar say
apnay aap say
panah mangtay thay...
keeon k dartay thay
k kahin palk jhapkay aur...
ik aur nazuk rishta
kachay dhagay ki tarha
toot na jaye....
hum bhi kitnay bholay thay...
aur ab...
aass dil main hai
pyaas bhujti nahin
deep jalta nahin
ab dil karta hai
saray rishtay
saray natay khud say toor doon
kisi anjanay khoff yeah dar say nahin
bus kuch thakan si hai shahyad
shahyad barsoon say kuch anjanay rishtay nibhata aa raha hoon
yeah shahyad... kuch aur..
bus ab thak gaya hoon...

@kS...