main aya tha...
k sham k us pahar
aa k main nay
tere dar pay dastak na di
teri band khirki k soorakh main ankh jhapak k ander nazar na dali
phir na shikwa karna
k tujh ko bahar kharay ho k
dheeray say pukara bhi nahin
yeh yaad rakhna main aya tha
koi shak ho to
apni dehleez pay qadam nik'al k baithna
aur mitti main milay meray khoon ki ik boond dhoondna
tum ko yakeen hojaye ga...
main aya tha...
@kS
2356 250606