Saturday, October 27, 2007

jub main bhi ik bacha tha

yaad karta hoon main woh din,
jub nanha sa main ik bacha tha...
rota tha, hansta tha
bus khailta hi rahta tha
choti choti baatein theen..
kitni pyaari woh raatein thi
jub maan, ki lori sunta tha
jub baap, ki karwat sota tha
kitnay achay din thay
jub behnoon say larta tha
aur phir khaila karta tha
..
apnay nanhay paoo'n main baray hi jootay pahanta tha
char pahioon ki cycle bhi shoq say chalaya karta tha
har toffee shoq say khaya karta tha,
jub jhoota bahana bana k school bhi nahin jata tha
na koi dar, na koi khoff, bus har dam maza main karta tha
yaad karta hoon main woh din,
jub chota sa main ik bacha tha...
..
woh choti choti sharatein,
woh din bhar ki baatein
jub yaad main rakhnay laga,
kai uljhanain barhieen, kai armaa'n jagay
aur main khud main khonay laga

din guzray, maheenay, saal beetay
kuch paas na aye, aur kai rooth k bichar gaye
kuch bandhan banaye, kuch khud hi toot gaye
kuch khwab adhooray jagaye, kuch sapnay dil main sajaye
umr guzri pyaar ki baatein barheen
qasmain, waday, tor-tareeqay badlay
pyaar k mausam main kuch hum bhi khoye rahay
mausam badla, andhi ai, toofan aya..
aur sub kuch hi mujh say rooth gaya...
haan tab dil ka bohat main sacha tha
umr ka tab bhi kacha tha
tub bhi shahyad main ik bacha tha

na baatein raheen, na shahrtain raheen
na woh toti cycle, na hi koi toffee rahi
haan kho gaya mujh say mera apna-pan
na maan ki lori, na hi woh bachpan
jo bacha, woh tootay khawab thay
jo amr huwa woh dhundli yaadein
kuch baatoon ki, kuch sapnoon ki
kuch rishtoon ki, kuch wadoon ki
kuch pyar bhari raatoon ki..

kitnay soonay pal thay woh
jub shahyad main ik bacha tha
phir bhi ab sochta hoon main yeh
kiya main bhi kabhi bacha tha?

@kS
1840 271007